Being the Real You
Aksar log khush rehne ke liye, dusro ke sath hamesha connect rehne ke liye, khud se oro se mtlb bas mafi hi mangte rehte hai, khud io dosh dete rehte hai ager koi problem aa jaye to. Chahe galti khud ki ho bhi nhi. Kai bar to log unchijo ke liye bhi apolize karte haijo unki habits to nahi lekin unki existance uske nature ka ek part hai, just because samne wala khush rahe or hamse alg na ho jaye. Or fir akele me aise log dukhi rehte hai or insecure bhi. Oro ke liye khud ko change karne me lag jate hai.
But ye sab galt hai. Is se ap apni self respect kho dete ho.
ALWAYS TRY TO BE YOURSELF. Dusro ke liye khudko down feel mat karao, or wo ban ne ki kosis mat karo jo tumhe lagta hai ki society tumhe banana chahti hai. Wo insan sabse best hai jo freely himself hai. Apne chehro se nakab utar do or role playing band kardo. It’s yourself, wo bano jo tum ban na chahte ho na ki wo jo dusre tumhe banana chahte ho. Tum jeene ke liye peda huye ho na ki bas khud ko dusro ke according badlte rehne ke liye. If there is anyone who doesn’t love you for WHO YOU ARE- aise logo ka apki jindgi me hone ka koi matlb nahi hai. Aap aise logo ke liye kabhi khud ko badle. Aise logo ko search kare jo apko jaise ap ho waise hi accept kare or apse pyaar karta rahe,apki respect kare.
Hamesha apni life ke goals, dreams ko fulfil karne me lage raho. Agar koi apko apke dreams fulfil karne me discourage karta hai, to maube wo log apki is life stage ke ap ke liye nahi hai. NEGATIVITY ek virus hai jo apki dreams ko khatam kar deta hai. Kabhi ye mat socho ki apni dreams ko fulfil larna selfishness hai. Khud ke liye wo inspiration bano jo ap apni life me chahte ho.
Khud ko time do kyuki ye apke or apke chahne walo dono ke loye beneficial hai. Or ek happy or healthy life ke liye khud ko time dena bahut jruri hai. Har subhah khud ko thoda time do, apke mind ko clear karne ke liye, shant rehne ke liye, meditation ke liye. Agar ap har subhah khud ko thoda time dena shuru kardoge to trust me us time apke pas dusro ko dene ke liye bahut kuchh hoga. So just take some time, and make it a priority.
Kisi ko apne astitv ko khatam mat karne do chahe wo fir apki family ho, ya apke dost ya apka life partner. Agar koi apke astitv ko khatam karna chahe to samjh lo it’s time to end up with them or limits that relationship. Agar wo apki sach me care karte hai, to wo apko kabhi aisa feel nahi karaynge. Apni positivity ko dusro ki wjah se khatam na hone de. Life me unko accept karo jo apko apke liye pyar karte hai, apki respect karte hai, or apko har field me support karte hai, na ki unko jo apko sirf badlna chahte hai.
Ap ek sach ho, bas us sachai me jeete raho. Or khush raho. Matlb jo apke liye uncomfortable hai, ya apke liye sahi hai, unchijo ke liye stand karo. Honest bano, us time per bhi jab apko ye lage ki results apke according nahi honge, because truth apko end me win kra hi deta hai. So just being honest.
Kabhi mat socho ki tumne glti kardi or sari uper us baat ko sochte raho or preshan raho. Because no one is PERFECT. Sabme imperfections hoti hai. Or tumhe apni un imperfections ko chhupana nahi chahiye. Hamesha khud ko improve karo only khud ke liye na ki dusro ki demands or expectations ke liye.
Those who being with you will accept you for who you are, or khud ke example se wo apko apka greatest version ban ne ke liye inspire kare.
Agar ap kisi chij se na karna chahte ho then just say no. Direct na karde. Bahut se log kabhi na nahi kar pate or fir internally dukhi rehne lg jate hai.or ye chij fir apko itna low feel kradeti hai jitna ap deserve bhi nahi karte.
So learn to say no but without negativity. Or un chijo ke liye hi yes bolna sikhe jinse tumhe love ho or tum dil se karna chahte ho.
Hamesha khush raho, khud ko time do, improve karo khud ko, wo bano jo tum ban na chahte ho, ap khud hi khud ke liye ek inspiration ho, khud hi khud ke dost ho or khud hi khud ke dushman bhi.
Ye apke uper depend karta hai ki ap apni lie ko apne according jeete hue khush rehna chahte ho ya dusro ke according khud ko badal kar hamesha dukhi rehna chahte ho..
Have a great life, think and do
Thank you!
RoyalPri Nce Saini JB